dewaar par lagi
us tasveer par aaj phir
ek nazar pad gayi
kuch dhool lagi thi us par
kuch sukhi jali hui
lakdiya uske aas paas thi
sayad kabhi me waha
agarbatti lagaya karta tha
kaanch ke piche
do haste hue chehre
dikhai de rahe the
saalo se maine dhyaan
nahi diya tha
par wo mujhe roj
haskar hi milte the
ek ajeeb sa khyaal tha man me
kyon meri nazar roj us par padti nahi
kyunki me unhe bhool gaya hu ya
phir me aaj nazar milane se darta hu
pata nahi kya tha
par maa baba
me aapko bhoola nahi hu
bas apni lachari aur bewasi
chupane ke liye aankhen
churaya karta hu
par ye bhool gaya tha kuch bhi
ho jaye ye hasi wahi barkarar rahegi
wo pyaar wo umeed wo ashirwaad
hamesha rahega
aap ho kahi mujhe pata he aap ho
hamesha sath mere......
us tasveer par aaj phir
ek nazar pad gayi
kuch dhool lagi thi us par
kuch sukhi jali hui
lakdiya uske aas paas thi
sayad kabhi me waha
agarbatti lagaya karta tha
kaanch ke piche
do haste hue chehre
dikhai de rahe the
saalo se maine dhyaan
nahi diya tha
par wo mujhe roj
haskar hi milte the
ek ajeeb sa khyaal tha man me
kyon meri nazar roj us par padti nahi
kyunki me unhe bhool gaya hu ya
phir me aaj nazar milane se darta hu
pata nahi kya tha
par maa baba
me aapko bhoola nahi hu
bas apni lachari aur bewasi
chupane ke liye aankhen
churaya karta hu
par ye bhool gaya tha kuch bhi
ho jaye ye hasi wahi barkarar rahegi
wo pyaar wo umeed wo ashirwaad
hamesha rahega
aap ho kahi mujhe pata he aap ho
hamesha sath mere......
1 comment:
Ouuh damn! It got my eyes wet..... bahut khuubsurat likha hai yar.... the imagery you've created is lovely. And its so true, even I carry a photo of my mummy and papa in my wallet, I would perhaps open my wallet 100 times a day, but would hardly realize their presence around me.....
Lovely post. But hey, I guess in the second last para, there is a word, bawasi, I guess it should be bebasi
Nevertheless, its a cherishing read :)
Post a Comment