Monday, March 9, 2009
मैं कुछ और ह
मैं कुछ और हू
ये तो नहीं
मुझमे हैं
उजाला भी
अँधेरा भी
मैं हु
गलत भी
सही भी
तुम सोचोगे
में भी तुम्हारी तरह
इंसान हू
पर..में कुछ और हू
ये तो नहीं
उस उजाले के
साए में
जो अँधेरा पनपे
उस सही में
तुझको जो गलत
दिखाई दे
उस हर एक गलत्
के साथ हर रोज
वो मैं हू
मैं कुछ और हू
ये तो नहीं.....
BARGAT KI WO DARAKHT
kisi bargat ki darkht par bethe
ek pankshi ko maine dekha tha
uski madhur aawaz ko suna
pankh felte hue iske nrity bhaav
ko dekha tha aesa laga jaise
aaj ek anoothe sangeet may
drashya ko mahsoos kiya ho
apni hi duniya me mast wo
kisi ke dekhne sunne ki
parwaah nahi kar raha tha
doosri hi daal par ek maada ko dekha
wo us sangeet may vatawaran ko
apni aawaz dekar aur madhur
bana rahi thi
ek pal ko laga jaise kisi
vrandawan me radha krishn
ko dekh raha hu
aesa sachcha pyaar ka bhaav
sab kuch bhool kar prem me
kho jana ....
bade salo baad dekha tha
man me ek khyaal tha
mujhe bhi pankh hote me
bhi ek pankshi hota
door gagan me kahi
apni aazadi ke sath ud raha hota
agle pal ko ek awaaz sunai di
jo dekha palatkar maine
shikari apna kaam kar gaya tha
vatawaran ab karuna ke swar me the
pankshi saare hawa me ud chuke the
ek maada us nar ke paas bethi thi
phir jo deka darkht ko
maine ab wo khaali thi
ek pal ko darakht me pyaar dekha
agle pal ko uska qatl hote dekha
sach hai sache pyaar ko
aaj insaan ne maar hi diya
ek pankshi ko maine dekha tha
uski madhur aawaz ko suna
pankh felte hue iske nrity bhaav
ko dekha tha aesa laga jaise
aaj ek anoothe sangeet may
drashya ko mahsoos kiya ho
apni hi duniya me mast wo
kisi ke dekhne sunne ki
parwaah nahi kar raha tha
doosri hi daal par ek maada ko dekha
wo us sangeet may vatawaran ko
apni aawaz dekar aur madhur
bana rahi thi
ek pal ko laga jaise kisi
vrandawan me radha krishn
ko dekh raha hu
aesa sachcha pyaar ka bhaav
sab kuch bhool kar prem me
kho jana ....
bade salo baad dekha tha
man me ek khyaal tha
mujhe bhi pankh hote me
bhi ek pankshi hota
door gagan me kahi
apni aazadi ke sath ud raha hota
agle pal ko ek awaaz sunai di
jo dekha palatkar maine
shikari apna kaam kar gaya tha
vatawaran ab karuna ke swar me the
pankshi saare hawa me ud chuke the
ek maada us nar ke paas bethi thi
phir jo deka darkht ko
maine ab wo khaali thi
ek pal ko darakht me pyaar dekha
agle pal ko uska qatl hote dekha
sach hai sache pyaar ko
aaj insaan ne maar hi diya
aap ho hamesh sath mere
dewaar par lagi
us tasveer par aaj phir
ek nazar pad gayi
kuch dhool lagi thi us par
kuch sukhi jali hui
lakdiya uske aas paas thi
sayad kabhi me waha
agarbatti lagaya karta tha
kaanch ke piche
do haste hue chehre
dikhai de rahe the
saalo se maine dhyaan
nahi diya tha
par wo mujhe roj
haskar hi milte the
ek ajeeb sa khyaal tha man me
kyon meri nazar roj us par padti nahi
kyunki me unhe bhool gaya hu ya
phir me aaj nazar milane se darta hu
pata nahi kya tha
par maa baba
me aapko bhoola nahi hu
bas apni lachari aur bewasi
chupane ke liye aankhen
churaya karta hu
par ye bhool gaya tha kuch bhi
ho jaye ye hasi wahi barkarar rahegi
wo pyaar wo umeed wo ashirwaad
hamesha rahega
aap ho kahi mujhe pata he aap ho
hamesha sath mere......
us tasveer par aaj phir
ek nazar pad gayi
kuch dhool lagi thi us par
kuch sukhi jali hui
lakdiya uske aas paas thi
sayad kabhi me waha
agarbatti lagaya karta tha
kaanch ke piche
do haste hue chehre
dikhai de rahe the
saalo se maine dhyaan
nahi diya tha
par wo mujhe roj
haskar hi milte the
ek ajeeb sa khyaal tha man me
kyon meri nazar roj us par padti nahi
kyunki me unhe bhool gaya hu ya
phir me aaj nazar milane se darta hu
pata nahi kya tha
par maa baba
me aapko bhoola nahi hu
bas apni lachari aur bewasi
chupane ke liye aankhen
churaya karta hu
par ye bhool gaya tha kuch bhi
ho jaye ye hasi wahi barkarar rahegi
wo pyaar wo umeed wo ashirwaad
hamesha rahega
aap ho kahi mujhe pata he aap ho
hamesha sath mere......
Saturday, February 21, 2009
par sayad aaj hi me neend se jaaga hu
subah sabare uthkar dekha
ek taara aasma me
charo aur ujhala fela raha tha
raat ke andhiyaren me jo kayi taare
mil kar na kar sake wo akela kar raha tha
pankshiyon ki chahchahat jaese
madhur sangeet
hawa apne sath bahaa rahi thi
oas ki boondien moti si
pratit ho rahi thi us taare ki kirnon
ko samet kar sundarta fela rahi thi
raat bhar kaam kar thak gaya tha
suraj ki pahli kiran padi jo tan par mere
saari thakaan wo mita gayi thi
pankshiyon ka yah madhur sangeet
mujhe ek nayi duniya me
le gaya tha
chahro taraf hariyaali thi
hari bhari pattiyon par
moti chamak rahe the
mujhe pata nahi sayad pahle bhi
yah duniya dekhi thi maine kahi
kuch dundhla sa yaad he
aankh band kar khwaab me
kabhi dekha hoga sayad
aaj khuli aankhon ne bhi
sapno ki duniya dekh lee
bas ek khayal dil me rah gaya tha
subah to roj hoti he
maine yah pahle mahsoos kyun nahi kiya
ho sakta he sota to me roj hu
par sayad aaj hi me neend se jaaga hu
ek taara aasma me
charo aur ujhala fela raha tha
raat ke andhiyaren me jo kayi taare
mil kar na kar sake wo akela kar raha tha
pankshiyon ki chahchahat jaese
madhur sangeet
hawa apne sath bahaa rahi thi
oas ki boondien moti si
pratit ho rahi thi us taare ki kirnon
ko samet kar sundarta fela rahi thi
raat bhar kaam kar thak gaya tha
suraj ki pahli kiran padi jo tan par mere
saari thakaan wo mita gayi thi
pankshiyon ka yah madhur sangeet
mujhe ek nayi duniya me
le gaya tha
chahro taraf hariyaali thi
hari bhari pattiyon par
moti chamak rahe the
mujhe pata nahi sayad pahle bhi
yah duniya dekhi thi maine kahi
kuch dundhla sa yaad he
aankh band kar khwaab me
kabhi dekha hoga sayad
aaj khuli aankhon ne bhi
sapno ki duniya dekh lee
bas ek khayal dil me rah gaya tha
subah to roj hoti he
maine yah pahle mahsoos kyun nahi kiya
ho sakta he sota to me roj hu
par sayad aaj hi me neend se jaaga hu
Subscribe to:
Posts (Atom)