Monday, March 9, 2009

BARGAT KI WO DARAKHT

kisi bargat ki darkht par bethe
ek pankshi ko maine dekha tha
uski madhur aawaz ko suna
pankh felte hue iske nrity bhaav
ko dekha tha aesa laga jaise
aaj ek anoothe sangeet may
drashya ko mahsoos kiya ho

apni hi duniya me mast wo
kisi ke dekhne sunne ki
parwaah nahi kar raha tha

doosri hi daal par ek maada ko dekha
wo us sangeet may vatawaran ko
apni aawaz dekar aur madhur
bana rahi thi

ek pal ko laga jaise kisi
vrandawan me radha krishn
ko dekh raha hu
aesa sachcha pyaar ka bhaav
sab kuch bhool kar prem me
kho jana ....

bade salo baad dekha tha
man me ek khyaal tha
mujhe bhi pankh hote me
bhi ek pankshi hota
door gagan me kahi
apni aazadi ke sath ud raha hota

agle pal ko ek awaaz sunai di
jo dekha palatkar maine
shikari apna kaam kar gaya tha
vatawaran ab karuna ke swar me the
pankshi saare hawa me ud chuke the
ek maada us nar ke paas bethi thi

phir jo deka darkht ko
maine ab wo khaali thi
ek pal ko darakht me pyaar dekha
agle pal ko uska qatl hote dekha
sach hai sache pyaar ko
aaj insaan ne maar hi diya

No comments: